saKHawaton ke bahane se chhal rahe hain log
saḳhāvatoñ ke bahāne se chhal rahe haiñ log
na jaane kaun se sāñche meñ Dhal rahe haiñ log
masarrateñ na jinheñ raas aa.iiñ auroñ kī
ġhamoñ kī dhuup meñ baiThe pighal rahe haiñ log
jo ḳhud-parast haiñ insāñ mafād ke paikar
unhīñ ke makr fareboñ meñ Dhal rahe haiñ log
kahāñ maiñ aa gayā is bazm meñ sukūñ ke liye
yahāñ to aap hī aapas meñ jal rahe haiñ log
na jaane kaun sī mushkil meñ phañs ga.ī duniyā
misāl-e-ātish-e-ḳhāmosh jal rahe haiñ log
vo niim vaalī galī ab nazar nahīñ aatī
tamām shahr kā naqsha badal rahe haiñ log
zarā tū ghar se nikal kar to dekh duniyā ko
har ek gaam pe 'svāmī' badal rahe haiñ log
saKHawaton ke bahane se chhal rahe hain log
na jaane kaun se sanche mein Dhal rahe hain log
masarraten na jinhen ras aain auron ki
ghamon ki dhup mein baiThe pighal rahe hain log
jo KHud-parast hain insan mafad ke paikar
unhin ke makr farebon mein Dhal rahe hain log
kahan main aa gaya is bazm mein sukun ke liye
yahan to aap hi aapas mein jal rahe hain log
na jaane kaun si mushkil mein phans gai duniya
misal-e-atish-e-KHamosh jal rahe hain log
wo nim wali gali ab nazar nahin aati
tamam shahr ka naqsha badal rahe hain log
zara tu ghar se nikal kar to dekh duniya ko
har ek gam pe 'swami' badal rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.