saKHt dushwar hai aasan koi mushkil hona
saḳht dushvār hai āsāñ koī mushkil honā
dil ko ab tak mire aaya hī nahīñ dil honā
kab muhāl un se mulāqāt hai ai dil honā
shart hai us ke liye jazba-e-kāmil honā
vāqif-e-kūcha-e-jānāñ nahīñ miltā koī
haañ mire shauq zarā rahbar-e-manzil honā
pech taqdīr ke nikleñ bhī to nikleñ kyūñkar
yād-e-gesū meñ jo sīkhā to salāsil honā
hashr barpā kahīñ duniyā-e-mohabbat meñ na ho
tum na be-parda numāyāñ sar-e-mahfil honā
pā.emālī meñ maze bosa-e-pā ke letā
dil-e-nā-fahm ko aaya hī nahīñ dil honā
aa.ina pheñk bhī do bad-nazarī kartā hai
us kā sheva hai muqābil ke muqābil honā
ek duniyā tire hamrāh hai dil vāloñ kī
ab na mahfil meñ kahīñ zīnat-e-mahfil honā
nuur se apne baḌhāte raho 'kaukab' kī ziyā
ho mubārak tumheñ rashk-e-mah-e-kāmil honā
saKHt dushwar hai aasan koi mushkil hona
dil ko ab tak mere aaya hi nahin dil hona
kab muhaal un se mulaqat hai ai dil hona
shart hai us ke liye jazba-e-kaamil hona
waqif-e-kucha-e-jaanan nahin milta koi
han mere shauq zara rahbar-e-manzil hona
pech taqdir ke niklen bhi to niklen kyunkar
yaad-e-gesu mein jo sikha to salasil hona
hashr barpa kahin duniya-e-mohabbat mein na ho
tum na be-parda numayan sar-e-mahfil hona
paemali mein maze bosa-e-pa ke leta
dil-e-na-fahm ko aaya hi nahin dil hona
aaina phenk bhi do bad-nazari karta hai
us ka shewa hai muqabil ke muqabil hona
ek duniya tere hamrah hai dil walon ki
ab na mahfil mein kahin zinat-e-mahfil hona
nur se apne baDhate raho 'kaukab' ki ziya
ho mubarak tumhein rashk-e-mah-e-kaamil hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.