sala-e-am-e-saqi hai ki aao ba-safa kar dun
salā-e-ām-e-sāqī hai ki aao bā-safā kar duuñ
fanā kī mai pilā kar mast-o-mad.hosh-e-baqā kar duuñ
tamanna-e-visāl-e-yār hai tafrīh-e-rūhānī
jo qaabū ho to apnī jān-o-dil tum par fidā kar duuñ
mirī rangīñ-bayānī munhasir hai zikr-e-jānāñ par
mazāmīñ ma.arifat ke jis tarah chāhe adā kar duuñ
sitam hai sar jhukā kar muskurā kar yaar kā kahnā
mile ḳhūn-e-dil-e-āshiq to maiñ tark-e-hinā kar duuñ
tumhīñ ā.īna-e-vahdat meñ dekho shān-e-mahbūbī
maiñ ai 'mahvī' ye uqda raaz kā kis tarah vā kar duuñ
sala-e-am-e-saqi hai ki aao ba-safa kar dun
fana ki mai pila kar mast-o-madhosh-e-baqa kar dun
tamanna-e-visal-e-yar hai tafrih-e-ruhani
jo qabu ho to apni jaan-o-dil tum par fida kar dun
meri rangin-bayani munhasir hai zikr-e-jaanan par
mazamin marifat ke jis tarah chahe ada kar dun
sitam hai sar jhuka kar muskura kar yar ka kahna
mile KHun-e-dil-e-ashiq to main tark-e-hina kar dun
tumhin aaina-e-wahdat mein dekho shan-e-mahbubi
main ai 'mahwi' ye uqda raaz ka kis tarah wa kar dun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 155)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.