salam aaKHir qubul karna tumhaari duniya se kaT rahe hain
salām āḳhir qubūl karnā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
yahāñ pe koī nahīñ hamārā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
har or ranjish har or nafrat yahāñ zarā bhī sukūñ nahīñ hai
so tang aa kar hamāre maulā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
agar banānā ise dobāra to nafratoñ se judā banānā
banā sako tab hameñ bulānā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
mujhe banāo use banāo hamārī duniyā alag banāo
hamāre qābil nahīñ ye duniyā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
use batānā ki baad us ke hameñ ye duniyā to kāTtī hai
jo jaate jaate ye kah gayā thā tumhārī duniyā se kaT rahe haiñ
salam aaKHir qubul karna tumhaari duniya se kaT rahe hain
yahan pe koi nahin hamara tumhaari duniya se kaT rahe hain
har or ranjish har or nafrat yahan zara bhi sukun nahin hai
so tang aa kar hamare maula tumhaari duniya se kaT rahe hain
agar banana ise dobara to nafraton se juda banana
bana sako tab hamein bulana tumhaari duniya se kaT rahe hain
mujhe banao use banao hamari duniya alag banao
hamare qabil nahin ye duniya tumhaari duniya se kaT rahe hain
use batana ki baad us ke hamein ye duniya to kaTti hai
jo jate jate ye kah gaya tha tumhaari duniya se kaT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.