salamat rahe jo ho qatil kisi ka
salāmat rahe jo ho qātil kisī kā
taḌap ne banāyā hai bismil kisī kā
adū ban ga.e dost bāteñ banā kar
bigaḌne lagā rang-e-mahfil kisī kā
idhar tanhā ye aa.ine meñ udhar vo
huā aks madd-e-muqābil kisī kā
hamīñ the ki uf tak zabāñ se na niklī
bhalā toḌ kar dekhiye dil kisī kā
shab-e-vasl 'safdar' tum itnā na chheḌo
manānā na ho jaa.e mushkil kisī kā
salamat rahe jo ho qatil kisi ka
taDap ne banaya hai bismil kisi ka
adu ban gae dost baaten bana kar
bigaDne laga rang-e-mahfil kisi ka
idhar tanha ye aaine mein udhar wo
hua aks madd-e-muqabil kisi ka
hamin the ki uf tak zaban se na nikli
bhala toD kar dekhiye dil kisi ka
shab-e-wasl 'safdar' tum itna na chheDo
manana na ho jae mushkil kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.