salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge
salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge
Agha Hajju Sharaf
MORE BYAgha Hajju Sharaf
salaf se log un pe mar rahe haiñ hamesha jāneñ liyā kareñge
yahī karishme huā kiye haiñ yahī karishme huā kareñge
hameñ jo be-jurm pīste ho ye jānte ho ki kyā kareñge
ḳhudā ne chāhā to surma ho kar tumhārī āñkhoñ meñ jā kareñge
na rahne deñge kabhī vo bāham tapāk dekheñge un meñ jis dam
badan se ḳhārij kareñge jaañ ko jigar se dil ko judā kareñge
chamak hai us meñ mohabbatāna ye be-qarārī hai āshiqāna
mazā uThā.eñge dard-e-dil kā kabhī na is kī davā kareñge
baḌhā to hai rabt ham se tum se ḳhudā ne chāhā to dekh loge
tumhāre pahlū meñ yaar dil kī tarah hamesha rahā kareñge
kisī kā ehsān ham na leñge kisī ko taklīf kuchh na deñge
ḳhudā ne paidā kiyā hai ham ko ḳhudā hī se iltijā kareñge
jab ā.eñge vo pa.e-ayādat to hogī dil ko umīd-e-sehhat
zamāna mujh ko duā karegā masīh merī davā kareñge
nahīñ ḳhush-a.amāl agar nahīñ huuñ farishte turbat meñ ḳhashmagīñ hoñ
ḳhudā kī rahmat se mutma.in huuñ ye kyā kareñge vo kyā kareñge
tamām hote haiñ dekh jā.ūñ jamāl aa ke hameñ dikhāo
tumhāre ġham meñ laboñ pe dam hai koī ghaḌī meñ qazā kareñge
rahegī yaad un kī ḳhush-ḳhirāmī mirā suḳhan hai ye lā-kalāmī
qadam na parde se vo nikāleñ mirī nazar meñ phirā kareñge
rulā.e jaatī hai un kī hasrat chalī hī aatī hai mujh ko riqqat
raheñgī kaahe ko merī āñkheñ jo yūñhī aañsū bahā kareñge
milā hai ārām āshiyāñ kā nahīñ kuchh andesha bāġhbāñ kā
rihā bhī hoñge to aa ke aksar ham is qafas meñ rahā kareñge
kahīñ Thikānā nahīñ hamārā tumhārī shafqat kā hai sahārā
ġharīb haiñ do hameñ dilāsā tumhāre haq meñ duā kareñge
laraz rahe haiñ satāne vaale ḳhudā ke aage ka.ī haiñ naale
gurez un se karegā mahshar ye vo qayāmat bapā kareñge
agar chhuTe bhī qafas se bulbul karegī barbād hasrat-e-gul
rasā.ī hogī na āshiyāñ tak chaman meñ tinke chunā kareñge
qubūl hogī duā hamārī kareñge jis dam ham āh-o-zārī
kabhī na jā.egī uupar uupar hamārī hājat ravā kareñge
nigāheñ un par jo ham ne Dālīñ unhoñ ne āñkheñ 'sharaf' nikālīñ
sitam ye Dhāyā hai kam-sinī meñ javān ho ke vo kyā kareñge
salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge
yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge
hamein jo be-jurm piste ho ye jaante ho ki kya karenge
KHuda ne chaha to surma ho kar tumhaari aankhon mein ja karenge
na rahne denge kabhi wo baham tapak dekhenge un mein jis dam
badan se KHarij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge
chamak hai us mein mohabbatana ye be-qarari hai aashiqana
maza uThaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dawa karenge
baDha to hai rabt hum se tum se KHuda ne chaha to dekh loge
tumhaare pahlu mein yar dil ki tarah hamesha raha karenge
kisi ka ehsan hum na lenge kisi ko taklif kuchh na denge
KHuda ne paida kiya hai hum ko KHuda hi se iltija karenge
jab aaenge wo pae-ayaadat to hogi dil ko umid-e-sehhat
zamana mujh ko dua karega masih meri dawa karenge
nahin KHush-amal agar nahin hun farishte turbat mein KHashmagin hon
KHuda ki rahmat se mutmain hun ye kya karenge wo kya karenge
tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamein dikhao
tumhaare gham mein labon pe dam hai koi ghaDi mein qaza karenge
rahegi yaad un ki KHush-KHirami mera suKHan hai ye la-kalami
qadam na parde se wo nikalen meri nazar mein phira karenge
rulae jati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat
rahengi kahe ko meri aankhen jo yunhi aansu baha karenge
mila hai aaram aashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka
riha bhi honge to aa ke aksar hum is qafas mein raha karenge
kahin Thikana nahin hamara tumhaari shafqat ka hai sahaara
gharib hain do hamein dilasa tumhaare haq mein dua karenge
laraz rahe hain satane wale KHuda ke aage kai hain nale
gurez un se karega mahshar ye wo qayamat bapa karenge
agar chhuTe bhi qafas se bulbul karegi barbaad hasrat-e-gul
rasai hogi na aashiyan tak chaman mein tinke chuna karenge
qubul hogi dua hamari karenge jis dam hum aah-o-zari
kabhi na jaegi upar upar hamari hajat rawa karenge
nigahen un par jo hum ne Dalin unhon ne aankhen 'sharaf' nikalin
sitam ye Dhaya hai kam-sini mein jawan ho ke wo kya karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.