salīb-e-āgahī ban kar khaḌā thā
ki merā qad masīhā se baḌā thā
mirā chehra na pahchānā kisī ne
maiñ gumnāmī ke jangal meñ khaḌā thā
uThā.e se na uTThā bojh dil se
koī patthar kaleje meñ gaḌā thā
vafā ke dasht meñ aaya na koī
maiñ terī raah meñ tanhā paḌā thā
lahū se pyaas kyā bujhtī hamārī
samandar duur tak sūkhā paḌā thā
parinde ḳhaak kyā aate vahāñ par
shajar be-barg thā tanhā khaḌā thā
na jaane 'rāj' kis zālim kī ḳhātir
zamāne kī kashākash se laḌā thā
salib-e-agahi ban kar khaDa tha
ki mera qad masiha se baDa tha
mera chehra na pahchana kisi ne
main gumnami ke jangal mein khaDa tha
uThae se na uTTha bojh dil se
koi patthar kaleje mein gaDa tha
wafa ke dasht mein aaya na koi
main teri rah mein tanha paDa tha
lahu se pyas kya bujhti hamari
samandar dur tak sukha paDa tha
parinde KHak kya aate wahan par
shajar be-barg tha tanha khaDa tha
na jaane 'raj' kis zalim ki KHatir
zamane ki kashakash se laDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.