salib karb ki sar pe uThae phirta hun
salib karb ki sar pe uThae phirta hun
Sayyad Safdar Raza Khandvi
MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi
salīb karb kī sar pe uThā.e phirtā huuñ
ġhamoñ ko siine se apne lagā.e phirtā huuñ
vo ek aag hai aisī jo bujh nahīñ saktī
use maiñ siine meñ apne dabā.e phirtā huuñ
rah-e-vafā meñ koī ham-navā nahīñ miltā
anā kā bojh akele uThā.e phirtā huuñ
koī to aa.e jo mere savāl hal kar de
maiñ aas ahl-e-karam se lagā.e phirtā huuñ
phaTī qabā meñ shujā.at ke pādshāhī ke
maiñ kaise shaan se tamġhe lagā.e phirtā huuñ
salib karb ki sar pe uThae phirta hun
ghamon ko sine se apne lagae phirta hun
wo ek aag hai aisi jo bujh nahin sakti
use main sine mein apne dabae phirta hun
rah-e-wafa mein koi ham-nawa nahin milta
ana ka bojh akele uThae phirta hun
koi to aae jo mere sawal hal kar de
main aas ahl-e-karam se lagae phirta hun
phaTi qaba mein shujaat ke padshahi ke
main kaise shan se tamghe lagae phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.