salim dasht-e-tamanna mein kaun hai kis ka
'salīm' dasht-e-tamannā meñ kaun hai kis kā
yahāñ to ishq bhī tanhā hai husn bhī tanhā
bane vo baat ki ahl-e-vafā ke din phir jaa.eñ
mizāj-e-yār kī sūrat badal chale duniyā
uḌā ke le hī ga.iiñ bū-e-pairahan! terā
subuk-ḳhirām havāoñ pe koī bas na chalā
mizāj-e-ishq ho mānūs-e-zindagī itnā
ki misl-e-ḳhalvat-e-mahbūb ho bharī duniyā
misāl-e-sub.h mirī ḳhalvatoñ meñ kaun aayā
vo raushnī hai ki palkeñ jhapak rahī hai fazā
hamīñ pe jab na tavajjoh huī to ham ko kyā
balā se aap kisī ke liye hoñ qahr-o-balā
vo tū hai yaad tirī hai ki merī hasrat hai
ye kaun hai mire siine meñ siskiyāñ letā
kuḌhe to apnī jagah ḳhush rahe to apnī jagah
'salīm' ham ne kisī se na kuchh kahā na sunā
'salim' dasht-e-tamanna mein kaun hai kis ka
yahan to ishq bhi tanha hai husn bhi tanha
bane wo baat ki ahl-e-wafa ke din phir jaen
mizaj-e-yar ki surat badal chale duniya
uDa ke le hi gain bu-e-pairahan! tera
subuk-KHiram hawaon pe koi bas na chala
mizaj-e-ishq ho manus-e-zindagi itna
ki misl-e-KHalwat-e-mahbub ho bhari duniya
misal-e-subh meri KHalwaton mein kaun aaya
wo raushni hai ki palken jhapak rahi hai faza
hamin pe jab na tawajjoh hui to hum ko kya
bala se aap kisi ke liye hon qahr-o-bala
wo tu hai yaad teri hai ki meri hasrat hai
ye kaun hai mere sine mein siskiyan leta
kuDhe to apni jagah KHush rahe to apni jagah
'salim' hum ne kisi se na kuchh kaha na suna
- Book : Pakistani Adab (Pg. 526)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.