saliqa hi na aaya ashk-ha-e-dida-e-tar se
salīqa hī na aaya ashk-hā-e-dīda-e-tar se
barasne kī jagah Thahre Thaharne kī jagah barse
tire dar tak mire nāloñ kī shān-e-nā-rasā.ī bhī
kuchh aisī hai ki jaise tiir Takrā jaa.e patthar se
abhī hangāma-ārā dil meñ hai ik ishrat-e-rafta
abhī tak terī ḳhushbū aa rahī hai mere bistar se
bhare ghar meñ mire josh-e-junūñ se ḳhauf-e-rusvā.ī
mujhe ifshā-e-rāz-e-ishq kā khaTkā bhare ghar se
maiñ phir āġhāz-e-ulfat kā natīja sochne baiThūñ
mujhe tum gudgudā kar phir nikal jaao barābar se
mujhe to 'shād' ke har sher meñ tā.īd miltī hai
kisī rū-e-munavvar se kisī zulf-e-mo.ambar se
saliqa hi na aaya ashk-ha-e-dida-e-tar se
barasne ki jagah Thahre Thaharne ki jagah barse
tere dar tak mere nalon ki shan-e-na-rasai bhi
kuchh aisi hai ki jaise tir Takra jae patthar se
abhi hangama-ara dil mein hai ek ishrat-e-rafta
abhi tak teri KHushbu aa rahi hai mere bistar se
bhare ghar mein mere josh-e-junun se KHauf-e-ruswai
mujhe ifsha-e-raaz-e-ishq ka khaTka bhare ghar se
main phir aaghaz-e-ulfat ka natija sochne baiThun
mujhe tum gudguda kar phir nikal jao barabar se
mujhe to 'shad' ke har sher mein taid milti hai
kisi ru-e-munawwar se kisi zulf-e-moambar se
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 255)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.