saliqe se agar toDen to kanTe Tut jate hain
salīqe se agar toḌeñ to kāñTe Tuut jaate haiñ
magar afsos ye hai phuul pahle Tuut jaate haiñ
bichhaḌ kar aap se ye tajraba ho hī gayā āḳhir
maiñ aksar sochtā thā log kaise Tuut jaate haiñ
mohabbat bojh ban kar hī bhale rahtī ho kāñdhoñ par
magar ye bojh haTtā hai to kāñdhe Tuut jaate haiñ
mirī auqāt hī kyā hai maiñ ik nanhā sā aañsū huuñ
bulandī se to gir kar achchhe achchhe Tuut jaate haiñ
ziyāda kāmyābī bhī bahut nuqsān detī hai
phaloñ kā bojh baḌhne se bhī paude Tuut jaate haiñ
bahut din maslahat kī qaid meñ rahte nahīñ jazbe
mohabbat jab sadā detī hai piñjre Tuut jaate haiñ
sitam ye hai maiñ us raste pe nañge paañv chaltā huuñ
jahāñ chalte hue logoñ ke juute Tuut jaate haiñ
saliqe se agar toDen to kanTe Tut jate hain
magar afsos ye hai phul pahle Tut jate hain
bichhaD kar aap se ye tajraba ho hi gaya aaKHir
main aksar sochta tha log kaise Tut jate hain
mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kandhon par
magar ye bojh haTta hai to kandhe Tut jate hain
meri auqat hi kya hai main ek nanha sa aansu hun
bulandi se to gir kar achchhe achchhe Tut jate hain
ziyaada kaamyabi bhi bahut nuqsan deti hai
phalon ka bojh baDhne se bhi paude Tut jate hain
bahut din maslahat ki qaid mein rahte nahin jazbe
mohabbat jab sada deti hai pinjre Tut jate hain
sitam ye hai main us raste pe nange panw chalta hun
jahan chalte hue logon ke jute Tut jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.