saliqe se piya karte hain paimane mohabbat ke
salīqe se piyā karte haiñ paimāne mohabbat ke
bahut ishq-āshnā hote haiñ dīvāne mohabbat ke
tasavvur chheḌtā hai jab fusūn-e-husn kā barbat
sarāpā soz ban jaate haiñ parvāne mohabbat ke
nigāh-e-mast uThtī hai to abr-e-mai barastā hai
fazā meñ jagmagā uThte haiñ maiḳhāne mohabbat ke
nahīñ miTte kabhī bhī inqilābāt-e-zamāna se
nuqūsh-e-kal-hajar hote haiñ afsāne mohabbat ke
jinheñ ye dhun ki sham-e-husn par qurbān hastī ho
yaqīñ kar lo ki ham hī haiñ vo parvāne mohabbat ke
chaman vaalo ye dasht-e-najd se āvāz aatī hai
na ujḌeñge jo bas jā.eñge vīrāne mohabbat ke
saliqe se piya karte hain paimane mohabbat ke
bahut ishq-ashna hote hain diwane mohabbat ke
tasawwur chheDta hai jab fusun-e-husn ka barbat
sarapa soz ban jate hain parwane mohabbat ke
nigah-e-mast uThti hai to abr-e-mai barasta hai
faza mein jagmaga uThte hain maiKHane mohabbat ke
nahin miTte kabhi bhi inqilabaat-e-zamana se
nuqush-e-kal-hajar hote hain afsane mohabbat ke
jinhen ye dhun ki sham-e-husn par qurban hasti ho
yaqin kar lo ki hum hi hain wo parwane mohabbat ke
chaman walo ye dasht-e-najd se aawaz aati hai
na ujDenge jo bas jaenge virane mohabbat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.