samaat se jab aawazon ka nata Tut jata hai
samā'at se jab āvāzoñ kā naata Tuut jaatā hai
to apne aap meñ insān kitnā Tuut jaatā hai
bharosa TūTne par kis liye afsos karte ho
yahāñ to jism se sāñsoñ kā rishta Tuut jaatā hai
koī hamrāz ham-sāya zarūrī hotā hai yaaro
safar meñ ziist ke insān tanhā Tuut jaatā hai
anā ab chhoḌ do tum aur maiñ bhī chhoḌtā huuñ zid
ye bal paḌte haiñ to har ek dhāgā Tuut jaatā hai
mirā armān merā ḳhvāb merā dil mirā jazba
ḳhafā hone se tere dekh kyā kyā Tuut jaatā hai
maiñ insāñ huuñ agar maiñ Tuut bhī jā.ūñ to hairat kyā
nazar lagne se to be-jān shīsha Tuut jaatā hai
sama'at se jab aawazon ka nata Tut jata hai
to apne aap mein insan kitna Tut jata hai
bharosa TuTne par kis liye afsos karte ho
yahan to jism se sanson ka rishta Tut jata hai
koi hamraaz ham-saya zaruri hota hai yaro
safar mein zist ke insan tanha Tut jata hai
ana ab chhoD do tum aur main bhi chhoDta hun zid
ye bal paDte hain to har ek dhaga Tut jata hai
mera arman mera KHwab mera dil mera jazba
KHafa hone se tere dekh kya kya Tut jata hai
main insan hun agar main Tut bhi jaun to hairat kya
nazar lagne se to be-jaan shisha Tut jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.