samaaton pe garan be-zabaniyan uski
samā.atoñ pe garāñ be-zabāniyāñ us kī
asīr-e-dair-o-haram lā-makāniyāñ us kī
har ek chehre pe be-chehragī ke saa.e haiñ
giraft meñ nahīñ ātīñ nishāniyāñ us kī
ye kis ne lahn se kaaTā hai nuur kā rishta
ki be-navā huiiñ jādū-bayāniyāñ us kī
usī kā kāsa-e-sar bhī usī kā patthar bhī
lahū usī kā lahū meñ ravāniyāñ us kī
vo sail-e-kār-e-jahāñ thā ki us ko bhuul gayā
phir aa ke mujh ko sunāo kahāniyāñ us kī
'shakeb' kartā rahā vo to ne.amateñ nāzil
hamīñ se ho na sakīñ qadr-dāniyāñ us kī
samaaton pe garan be-zabaniyan us ki
asir-e-dair-o-haram la-makaniyan us ki
har ek chehre pe be-chehragi ke sae hain
giraft mein nahin aatin nishaniyan us ki
ye kis ne lahn se kaTa hai nur ka rishta
ki be-nawa huin jadu-bayaniyan us ki
usi ka kasa-e-sar bhi usi ka patthar bhi
lahu usi ka lahu mein rawaniyan us ki
wo sail-e-kar-e-jahan tha ki us ko bhul gaya
phir aa ke mujh ko sunao kahaniyan us ki
'shakeb' karta raha wo to neamaten nazil
hamin se ho na sakin qadr-daniyan us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.