samajh kar aaKHiri pahlu kalai kaTte hain
samajh kar āḳhirī pahlū kalā.ī kāTte haiñ
yahāñ kuchh bad-gumāñ bad-ḳhū kalā.ī kāTte haiñ
bahut pahle kahīñ ye tai kiyā hotā hai ham ne
phir ik shab paḌh ke allah-hū kalā.ī kāTte haiñ
tujh aisoñ par salāmī zindagī se laḌ rahe ho
ham aise buz-diloñ par thū kalā.ī kāTte haiñ
koī minnat samājat ko bhī ḳhātir meñ na laa.e
to aise vaqt par buddhū kalā.ī kāTte haiñ
yahīñ par tai huā thā saath jiinā saath marnā
yahīñ par baiTh kar maiñ tū kalā.ī kāTte haiñ
unheñ lagtā hai un kī naaf meñ ḳhushbū nahīñ hai
to māyūsī meñ kuchh aahū kalā.ī kāTte haiñ
samajh kar aaKHiri pahlu kalai kaTte hain
yahan kuchh bad-guman bad-KHu kalai kaTte hain
bahut pahle kahin ye tai kiya hota hai hum ne
phir ek shab paDh ke allah-hu kalai kaTte hain
tujh aison par salami zindagi se laD rahe ho
hum aise buz-dilon par thu kalai kaTte hain
koi minnat samajat ko bhi KHatir mein na lae
to aise waqt par buddhu kalai kaTte hain
yahin par tai hua tha sath jina sath marna
yahin par baiTh kar main tu kalai kaTte hain
unhen lagta hai un ki naf mein KHushbu nahin hai
to mayusi mein kuchh aahu kalai kaTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.