samajh ke zulm karo ai buto KHuda bhi hai
samajh ke zulm karo ai buto ḳhudā bhī hai
tumhāre jaur-o-jafā kī kuchh intihā bhī hai
agar maiñ jā.ūñgā pūchhūñgā ye masīhā se
ki mere dard-e-jigar kī koī davā bhī hai
kabhī rahā mire lab tak kabhī vahāñ pahuñchā
ye naala merā rasā aur nā-rasā bhī hai
fasāna qais kā logoñ se sun liyā hogā
ye merā qissa-e-ġham aap ne sunā bhī hai
musāfirān-e-adam aa.e do-ghaḌī ke liye
sarā-e-dahr meñ aa kar koī rahā bhī hai
tamāshā dekhiye vo ba.ad-e-qatl bhuul gayā
ki mere dar pe koī kushta-e-adā bhī hai
jafā-o-jaur se un ke to ho gayā aajiz
butoñ ke ishq kā is dil meñ hauslā bhī hai
samajh ke ḳhār-e-muġhīlāñ to sar uThā apnā
ki rahravoñ meñ ik āshiq barhana-pā bhī hai
safīna bahr-e-musībat se paar kar degā
ḳhudā samajhte ho jis ko vo nāḳhudā bhī hai
uThāo shauq se manzil meñ tum qadam apne
ki rāhzan jo hai is meñ vo rahnumā bhī hai
nazar se shaiḳh kī chhup kar chalā huuñ piine ko
'jamīla' abr hai bārish hai aur havā bhī hai
samajh ke zulm karo ai buto KHuda bhi hai
tumhaare jaur-o-jafa ki kuchh intiha bhi hai
agar main jaunga puchhunga ye masiha se
ki mere dard-e-jigar ki koi dawa bhi hai
kabhi raha mere lab tak kabhi wahan pahuncha
ye nala mera rasa aur na-rasa bhi hai
fasana qais ka logon se sun liya hoga
ye mera qissa-e-gham aap ne suna bhi hai
musafiran-e-adam aae do-ghaDi ke liye
sara-e-dahr mein aa kar koi raha bhi hai
tamasha dekhiye wo baad-e-qatl bhul gaya
ki mere dar pe koi kushta-e-ada bhi hai
jafa-o-jaur se un ke to ho gaya aajiz
buton ke ishq ka is dil mein hausla bhi hai
samajh ke KHar-e-mughilan to sar uTha apna
ki rahrawon mein ek aashiq barhana-pa bhi hai
safina bahr-e-musibat se par kar dega
KHuda samajhte ho jis ko wo naKHuda bhi hai
uThao shauq se manzil mein tum qadam apne
ki rahzan jo hai is mein wo rahnuma bhi hai
nazar se shaiKH ki chhup kar chala hun pine ko
'jamila' abr hai barish hai aur hawa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.