samajh mein aa gaya hum ko ye bandagi ka mahaz
samajh mein aa gaya hum ko ye bandagi ka mahaz
Mohammad Yasir Mustafvi
MORE BYMohammad Yasir Mustafvi
samajh meñ aa gayā ham ko ye bandagī kā mahāz
so haar jā.eñge is baar be-ḳhudī kā mahāz
ye ās-pās charāġhoñ ke phirtā parvāna
batā rahā hai ki jītūñgā raushnī kā mahāz
hamāre hoñToñ pe chhāle haiñ aur ḳhushk zabāñ
batāo ham nahīñ jīteñge tishnagī kā mahāz
bhale hī ham ne december guzār Daalā hai
abhī to sāmne aa.egā january kā mahāz
hamī ne vā'de kiye the hamī ne kaam kiye
magar vipaksh ne jiitā assembly kā mahāz
hameñ kisī kī zarūrat nahīñ jahāñ vaalo
akele jītnā hai ham ko zindagī kā mahāz
samajh mein aa gaya hum ko ye bandagi ka mahaz
so haar jaenge is bar be-KHudi ka mahaz
ye aas-pas charaghon ke phirta parwana
bata raha hai ki jitunga raushni ka mahaz
hamare honTon pe chhaale hain aur KHushk zaban
batao hum nahin jitenge tishnagi ka mahaz
bhale hi hum ne december guzar Dala hai
abhi to samne aaega january ka mahaz
hami ne wa'de kiye the hami ne kaam kiye
magar wipaksh ne jita assembly ka mahaz
hamein kisi ki zarurat nahin jahan walo
akele jitna hai hum ko zindagi ka mahaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.