samajh mein kuchh nahin aata ki dil ki aarzu kya thi
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki dil kī aarzū kyā thī
safar to phir safar thā lekin āḳhir justujū kyā thī
bikhartī ārzūoñ kī sadā suntā to jhuum uThtā
magar pighle hue lamhāt kī ye guftugū kyā thī
larazte kāñpte pattoñ se pūchhūñ bhī to kyā pūchhūñ
judā hote hue mausam kī shān-e-rang-o-bū kyā thī
na-jāne kaun sā sūraj thā jo Duubā thā mashriq meñ
magar rah rah bikhartī raushnī sī chār-sū kyā thī
bayābāñ meñ sahar tā-shām kis ko DhūñDte the ye
parinde kis ko batlā.eñ ki un kī justujū kyā thī
na rote the na hañste the na kahte the kisī se kuchh
vo kaise log the un ke diloñ meñ aarzū kyā thī
samajh mein kuchh nahin aata ki dil ki aarzu kya thi
safar to phir safar tha lekin aaKHir justuju kya thi
bikharti aarzuon ki sada sunta to jhum uThta
magar pighle hue lamhat ki ye guftugu kya thi
larazte kanpte patton se puchhun bhi to kya puchhun
juda hote hue mausam ki shan-e-rang-o-bu kya thi
na-jaane kaun sa suraj tha jo Duba tha mashriq mein
magar rah rah bikharti raushni si chaar-su kya thi
bayaban mein sahar ta-sham kis ko DhunDte the ye
parinde kis ko batlaen ki un ki justuju kya thi
na rote the na hanste the na kahte the kisi se kuchh
wo kaise log the un ke dilon mein aarzu kya thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.