Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh mein kuchh nahin aata ki qatil ki ada kya hai

Mohammad Taibur Rahman Inamdar Talib

samajh mein kuchh nahin aata ki qatil ki ada kya hai

Mohammad Taibur Rahman Inamdar Talib

MORE BYMohammad Taibur Rahman Inamdar Talib

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki qātil adā kyā hai

    na marne ham ko detā hai na jiine vo detā hai

    vo ayyām-e-guzishta zulmatoñ meñ kho ga.e lekin

    tumhārī yaad dil meñ abhī tak diip jaltā hai

    dhuāñ sū-e-falak uThtā hai merī āh-e-sozāñ

    ilāhī ḳhair ho dil na jaane boltā kyā hai

    mirī laġhzish ko shāyad phuul to samjhe nahīñ 'tālib'

    garebāñ fasl-e-gul meñ merā kāñToñ se ulajhtā hai

    samajh mein kuchh nahin aata ki qatil ki ada kya hai

    na marne hum ko deta hai na jine hi wo deta hai

    wo ayyam-e-guzishta zulmaton mein kho gae lekin

    tumhaari yaad ka dil mein abhi tak dip jalta hai

    dhuan su-e-falak uThta hai meri aah-e-sozan ka

    ilahi KHair ho dil ki na jaane bolta kya hai

    meri laghzish ko shayad phul to samjhe nahin 'talib'

    gareban fasl-e-gul mein mera kanTon se ulajhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now