samajh mein un ke aa jaegi gham ki dastan ek din
samajh mein un ke aa jaegi gham ki dastan ek din
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
samajh meñ un ke aa jā.egī ġham kī dāstāñ ik din
mohabbat aap ho jā.egī apnī tarjumāñ ik din
unheñ kho kar nazar taskīñ kā sāmāñ aur DhūñDegī
yaqīnan phir dil-e-nākām hogā kāmrāñ ik din
jinheñ gul ḳhaar samjhe haiñ vo ik din yaad ā.eñge
matā-e-husn ko hogī talāsh-e-pāsbāñ ik din
yahāñ phir mujh sā rind-e-lā-ubālī kaun aa.egā
kamī mahsūs hogī tujh ko ai pīr-e-muġhāñ ik din
unheñ apne parā.e kī abhī pahchān mushkil hai
abhī rahne do ho jā.egā sab kā imtihāñ ik din
ravāñ hai kārvāñ manzil pe ahl-e-azm pahuñcheñge
jo kam-himmat haiñ ban jā.eñge gard-e-kārvāñ ik din
vo jān-e-ārzū mil jā.egā jis kī tamanna hai
'shifā' ye bazm-e-dil ban jā.egī rashk-e-jināñ ik din
samajh mein un ke aa jaegi gham ki dastan ek din
mohabbat aap ho jaegi apni tarjuman ek din
unhen kho kar nazar taskin ka saman aur DhunDegi
yaqinan phir dil-e-nakaam hoga kaamran ek din
jinhen gul KHar samjhe hain wo ek din yaad aaenge
mata-e-husn ko hogi talash-e-pasban ek din
yahan phir mujh sa rind-e-la-ubaali kaun aaega
kami mahsus hogi tujh ko ai pir-e-mughan ek din
unhen apne parae ki abhi pahchan mushkil hai
abhi rahne do ho jaega sab ka imtihan ek din
rawan hai karwan manzil pe ahl-e-azm pahunchenge
jo kam-himmat hain ban jaenge gard-e-karwan ek din
wo jaan-e-arzu mil jaega jis ki tamanna hai
'shifa' ye bazm-e-dil ban jaegi rashk-e-jinan ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.