samajh na pai ki kya be-mahaar chahta tha
samajh na paa.ī ki kyā be-mahār chāhtā thā
ajiib shaḳhs thā ḳhud se farār chāhtā thā
vo merī arz bhī hukman shumār karne lagā
vo har tarah se mirā e.atibār chāhtā thā
use qubūl thī vaise to merī majbūrī
magar vo mujh pe zarā iḳhtiyār chāhtā thā
javāñ diloñ ke marāhil to tai kiye saare
magar vo vasl meñ kuchh intizār chāhtā thā
tamāniyat na milī mujh ko phir kisī sūrat
ki merā dil bhī to honā figār chāhtā thā
kabhī na ashk bahāogī mujh se va.ada karo
vo pyaar meñ bhī faqat eqtidār chāhtā thā
bas ik anā thī ki jis ne Dubo diyā us ko
magar vo phir bhī usī kā hisār chāhtā thā
tamām shartoñ pe sar ko hai ḳham kiyā maiñ ne
ki ishq dard kā ik kohsār chāhtā thā
sabhī charāġh-e-mohabbat bujhā diye us ne
ki vo havā pe bhī honā savār chāhtā thā
vo thak gayā thā mohabbat kī aarzū karte
bichhaḌ ke mujh se vo shāyad qarār chāhtā thā
ye dāstāñ bhī usī shaḳhs ne likhī 'ushba'
tavīl qisse meñ jo iḳhtisār chāhtā thā
samajh na pai ki kya be-mahaar chahta tha
ajib shaKHs tha KHud se farar chahta tha
wo meri arz bhi hukman shumar karne laga
wo har tarah se mera eatibar chahta tha
use qubul thi waise to meri majburi
magar wo mujh pe zara iKHtiyar chahta tha
jawan dilon ke marahil to tai kiye sare
magar wo wasl mein kuchh intizar chahta tha
tamaniyat na mili mujh ko phir kisi surat
ki mera dil bhi to hona figar chahta tha
kabhi na ashk bahaogi mujh se wada karo
wo pyar mein bhi faqat eqtidar chahta tha
bas ek ana thi ki jis ne Dubo diya us ko
magar wo phir bhi usi ka hisar chahta tha
tamam sharton pe sar ko hai KHam kiya main ne
ki ishq dard ka ek kohsar chahta tha
sabhi charagh-e-mohabbat bujha diye us ne
ki wo hawa pe bhi hona sawar chahta tha
wo thak gaya tha mohabbat ki aarzu karte
bichhaD ke mujh se wo shayad qarar chahta tha
ye dastan bhi usi shaKHs ne likhi 'ushba'
tawil qisse mein jo iKHtisar chahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.