samajh pae jo KHud ke par aae
samajh paa.e jo ḳhud ke paar aa.e
tirī duniyā meñ ham bekār aa.e
bahan maañ baap biivī dost bachcha
kahānī thī ka.ī kirdār aa.e
qadam rakhte hī dīvāreñ uThī thiiñ
safar meñ marhale dushvār aa.e
shikasta dil bikhar jā.egā merā
vahāñ se ab agar inkār aa.e
uḌaa.e the ka.ī qāsid kabūtar
magar vāpas faqat do-chār aa.e
samundar kī anā ko ġharq kar duuñ
mire hāthoñ meñ gir patvār aa.e
agarche log vo saste nahīñ the
jo bikne ko sar-e-bāzār aa.e
tirī yādoñ se chhuTTī kab milegī
kabhī to zehn ko itvār aa.e
samajh pae jo KHud ke par aae
teri duniya mein hum bekar aae
bahan man bap biwi dost bachcha
kahani thi kai kirdar aae
qadam rakhte hi diwaren uThi thin
safar mein marhale dushwar aae
shikasta dil bikhar jaega mera
wahan se ab agar inkar aae
uDae the kai qasid kabutar
magar wapas faqat do-chaar aae
samundar ki ana ko gharq kar dun
mere hathon mein gir patwar aae
agarche log wo saste nahin the
jo bikne ko sar-e-bazar aae
teri yaadon se chhuTTi kab milegi
kabhi to zehn ko itwar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.