Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga

Kuldeep Kumar

samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga

Kuldeep Kumar

MORE BYKuldeep Kumar

    samajh rahe the jise ham ki bevafā hogā

    kise ḳhabar thī ki vo aadmī ḳhudā hogā

    tumhāre pahle bhī āñkhoñ meñ intizār thā

    tumhāre baa'd yahī hogā aur kyā hogā

    abhī bhī dard uThtā hai mujh meñ mumkin hai

    zarā ishq mirī zaat meñ bachā hogā

    maiñ ik charāġh havā meñ jalā ke lauT aayā

    phir us ke baa'd na jaane ki kyā huā hogā

    yahāñ āb-o-havā meñ ajab ḳhamoshī hai

    tamām shahr kisī dasht par basā hogā

    vahī nazāre vahī log chal yahāñ se chaleñ

    fasīl-e-shahr ke bāhar to kuchh nayā hogā

    samajh rahe the jise hum ki bewafa hoga

    kise KHabar thi ki wo aadmi KHuda hoga

    tumhaare pahle bhi aankhon mein intizar hi tha

    tumhaare ba'd yahi hoga aur kya hoga

    abhi bhi dard sa uThta hai mujh mein mumkin hai

    zara sa ishq meri zat mein bacha hoga

    main ek charagh hawa mein jala ke lauT aaya

    phir us ke ba'd na jaane ki kya hua hoga

    yahan ki aab-o-hawa mein ajab KHamoshi hai

    tamam shahr kisi dasht par basa hoga

    wahi nazare wahi log chal yahan se chalen

    fasil-e-shahr ke bahar to kuchh naya hoga

    Source :
    • Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 55)
    • Author : Kuldeep Kumar
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now