samajh rahe the ki baadal hain sar pe chhae hue
samajh rahe the ki bādal haiñ sar pe chhā.e hue
magar ġhubār pe nazreñ the ham jamā.e hue
tamām raat alaao pe kāTne ke liye
sune ga.e ka.ī qisse sune-sunā.e hue
jhulas rahā hai badan dhuup kī tamāzat se
umiid sūkhe daraḳhtoñ se haiñ lagā.e hue
adā na kar sake ham qarz terī chāhat kā
tirī galī se guzarte haiñ sar jhukā.e hue
vo jin kī ḳhuun pasīne se ābyārī kī
unhīñ daraḳhtoñ ke hāsil hameñ na saa.e hue
vo kyā samajhte ujāloñ kī ahmiyat ai 'chāñd'
jinheñ charāġh mile the jale jalā.e hue
samajh rahe the ki baadal hain sar pe chhae hue
magar ghubar pe nazren the hum jamae hue
tamam raat alao pe kaTne ke liye
sune gae kai qisse sune-sunae hue
jhulas raha hai badan dhup ki tamazat se
umid sukhe daraKHton se hain lagae hue
ada na kar sake hum qarz teri chahat ka
teri gali se guzarte hain sar jhukae hue
wo jin ki KHun pasine se aabyari ki
unhin daraKHton ke hasil hamein na sae hue
wo kya samajhte ujalon ki ahmiyat ai 'chand'
jinhen charagh mile the jale jalae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.