samajh saka koi rone na muskurane se
samajh sakā koī rone na muskurāne se
mirā fasāna judā thā har ik fasāne se
shaguft-e-ḳhār ḳhas-o-barg hai bajā lekin
bahār aa.egī phūloñ ke muskurāne se
guzar rahā hai koī kārvān-e-barq-o-sharār
ilāhī ḳhair ġharīboñ ke āshiyāne se
balā se ek hī sajda ho un ke dar par ho
nasīb jaag bhī saktā hai āzmāne se
zamīñ pe ḳhaak ke zarre qamar nahīñ bante
falak pe chand sitāroñ ke jagmagāne se
har ek she'r kī kāġhaz pe zindagī hai 'jamāl'
milegā kyā tujhe mahfil meñ daad paane se
samajh saka koi rone na muskurane se
mera fasana juda tha har ek fasane se
shaguft-e-KHar KHas-o-barg hai baja lekin
bahaar aaegi phulon ke muskurane se
guzar raha hai koi karwan-e-barq-o-sharar
ilahi KHair gharibon ke aashiyane se
bala se ek hi sajda ho un ke dar par ho
nasib jag bhi sakta hai aazmane se
zamin pe KHak ke zarre qamar nahin bante
falak pe chand sitaron ke jagmagane se
har ek she'r ki kaghaz pe zindagi hai 'jamal'
milega kya tujhe mahfil mein dad pane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.