samajh saka na baat main kyon mustaqil wabaal mein raha
samajh sakā na baat maiñ kyoñ mustaqil vabāl meñ rahā
javāb meñ na aa sakā hamesha hī savāl meñ rahā
miTegā kaise fāsla vo us ke mere biich kā bhalā
junūb meñ rahā jo maiñ to jā ke vo shumāl meñ rahā
bhulā diyā gayā huuñ maiñ ki jaise ḳhvāb-e-ḳhām thā koī
vo naqsh-e-zehn-o-dil banā ravāñ-davāñ misāl maiñ rahā
qadam qadam bichhe the chār-sū vo mas.aloñ ke jaal se
shikār-gah hayāt thī hamesha qaid jaal meñ rahā
guzar ke vaqt jā.egā kahāñ hadoñ se kā.enāt kī
ki bahr-e-be-karāñ sā vo hamesha apne haal meñ rahā
samajh saka na baat main kyon mustaqil wabaal mein raha
jawab mein na aa saka hamesha hi sawal mein raha
miTega kaise fasla wo us ke mere bich ka bhala
junub mein raha jo main to ja ke wo shumal mein raha
bhula diya gaya hun main ki jaise KHwab-e-KHam tha koi
wo naqsh-e-zehn-o-dil bana rawan-dawan misal main raha
qadam qadam bichhe the chaar-su wo masalon ke jal se
shikar-gah hayat thi hamesha qaid jal mein raha
guzar ke waqt jaega kahan hadon se kaenat ki
ki bahr-e-be-karan sa wo hamesha apne haal mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.