samajh saka na koi raaz-e-husn begana
samajh sakā na koī rāz-e-husn begāna
juz iiñ niyāz-pasandī-e-qalb-e-dīvāna
ye chāñdnī ye fazā ye havā-e-mai-ḳhāna
davām ho to mile mujh ko ek paimāna
tirī nigāh kī tausīf ho rahī hai magar
mirī hī tishna-labī bhar rahī hai paimāna
jahāñ pahuñch na sakā koī jazba-e-muhtāt
vahāñ gayā hai mirā zauq-e-sarfaroshāna
nahīñ hai sarmad-o-mansūr par hī ḳhatm junūñ
mujhe bhī logoñ ne aksar kahā hai dīvāna
shikāyat-e-ġham-e-dil ko zabāñ nahīñ khultī
ki is nigāh ke andāz haiñ karīmāna
tamām bazm meñ ik ham ḳhamosh baiThe haiñ
sunā rahe haiñ sabhī tujh ko terā afsāna
yaqīn rakh ki tirī anjuman se ham bhī kabhī
tirī hī tarah se guzreñge be-niyāzāna
guzārnī hai shab-e-ġham kisī tarah ai dost
na apnī koī kahānī na koī afsāna
na pūchh mujh se kisī shai kī asl ai hamdam
ki dekhtā huuñ maiñ ābādiyoñ meñ vīrāna
ajab itāb-e-mashiyyat hai mujh pe ai 'ālī'
gadā banā ke diyā hai mizāj shāhāna
samajh saka na koi raaz-e-husn begana
juz in niyaz-pasandi-e-qalb-e-diwana
ye chandni ye faza ye hawa-e-mai-KHana
dawam ho to mile mujh ko ek paimana
teri nigah ki tausif ho rahi hai magar
meri hi tishna-labi bhar rahi hai paimana
jahan pahunch na saka koi jazba-e-muhtat
wahan gaya hai mera zauq-e-sarfaroshana
nahin hai sarmad-o-mansur par hi KHatm junun
mujhe bhi logon ne aksar kaha hai diwana
shikayat-e-gham-e-dil ko zaban nahin khulti
ki is nigah ke andaz hain karimana
tamam bazm mein ek hum KHamosh baiThe hain
suna rahe hain sabhi tujh ko tera afsana
yaqin rakh ki teri anjuman se hum bhi kabhi
teri hi tarah se guzrenge be-niyazana
guzarni hai shab-e-gham kisi tarah ai dost
na apni koi kahani na koi afsana
na puchh mujh se kisi shai ki asl ai hamdam
ki dekhta hun main aabaadiyon mein virana
ajab itab-e-mashiyyat hai mujh pe ai 'ali'
gada bana ke diya hai mizaj shahana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.