samajhne se siwa samjhane ka sab ko junun kyon hai
samajhne se sivā samjhāne kā sab ko junūñ kyoñ hai
laboñ par tanz ke kalmāt haiñ āñkhoñ meñ ḳhuuñ kyoñ hai
jo bas zaḳhm-e-barūñ ko bharne se rakhte haiñ dilchaspī
unheñ ham kaise batlā.eñ hameñ soz-e-darūñ kyoñ hai
ravādārī jo sunñe kī thī ab vo bhī nahīñ baaqī
mire siine meñ jo taklīf hai kaise kahūñ kyoñ hai
isī tafhīm se mahrūmī kā hāsil hai ye manzar
mujhe bechainiyāñ kyoñ haiñ tumheñ itnā sukūñ kyoñ hai
hamāre roz-o-shab jab sab haqīqat haiñ to phir 'āsim'
koī ruḳh ho hamārī soch kā mehvar fusūñ kyoñ hai
samajhne se siwa samjhane ka sab ko junun kyon hai
labon par tanz ke kalmat hain aankhon mein KHun kyon hai
jo bas zaKHm-e-barun ko bharne se rakhte hain dilchaspi
unhen hum kaise batlaen hamein soz-e-darun kyon hai
rawadari jo sunne ki thi ab wo bhi nahin baqi
mere sine mein jo taklif hai kaise kahun kyon hai
isi tafhim se mahrumi ka hasil hai ye manzar
mujhe bechainiyan kyon hain tumhein itna sukun kyon hai
hamare roz-o-shab jab sab haqiqat hain to phir 'asim'
koi ruKH ho hamari soch ka mehwar fusun kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.