samajhta hai kaun gham ko sahte be-tab ka dukh
samajhtā hai kaun ġham ko sahte be-tāb kā dukh
shabāb ko khā gayā hai Dhalte shabāb kā dukh
zamīr dar dar pe jā ke chāhe de jitnī dastak
koī nahīñ suntā khol ke dar janāb kā dukh
nazar to dilkash haiñ aate saare nazāre lekin
samajhtī haiñ bahtī āñkheñ bahte chanāb kā dukh
kitāb kā rutba ab to pā-posh ko hai hāsil
saḌak kināre mujhe hai biktī kitāb kā dukh
bigāḌ ke mujh ko man hai maa.il najāt ko ab
lagā hai man-pāpī ko gunāh-o-savāb kā dukh
kahīñ to dil meñ ye haal Daale ḳhayāl kal kā
kahīñ use maazī kī hai hālat ḳharāb kā dukh
pahāḌ TuuTā na āsmāñ hī girā 'mudassir'
sarāb-gar hī batā rahā thā sarāb kā dukh
samajhta hai kaun gham ko sahte be-tab ka dukh
shabab ko kha gaya hai Dhalte shabab ka dukh
zamir dar dar pe ja ke chahe de jitni dastak
koi nahin sunta khol ke dar janab ka dukh
nazar to dilkash hain aate sare nazare lekin
samajhti hain bahti aankhen bahte chanab ka dukh
kitab ka rutba ab to pa-posh ko hai hasil
saDak kinare mujhe hai bikti kitab ka dukh
bigaD ke mujh ko man hai mail najat ko ab
laga hai man-papi ko gunah-o-sawab ka dukh
kahin to dil mein ye haal Dale KHayal kal ka
kahin use mazi ki hai haalat KHarab ka dukh
pahaD TuTa na aasman hi gira 'mudassir'
sarab-gar hi bata raha tha sarab ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.