samajhta hai wo KHud ko aap ke ruKH ke muqabil ka
samajhta hai wo KHud ko aap ke ruKH ke muqabil ka
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
samajhtā hai vo ḳhud ko aap ke ruḳh ke muqābil kā
zarā insāf se kahiye ye muñh hai māh-e-kāmil kā
pata detā hai ye ruk ruk ke chalnā teġh-e-qātil kā
ki ab madd-e-nazar rah rah ke taḌpānā hai bismil kā
muāfiq hai ye in rozoñ havā gulzār-e-ālam kī
dil-e-pur-dāġh guldasta hai gul-rūyoñ kī mahfil kā
abas ai barq tujh ko naaz hai apne taḌapne par
abhī dekhā nahīñ tū ne taḌapnā muztarib dil kā
vo kyā jāneñ ġhalat kahte haiñ ḳhaal us ko jo kahte haiñ
tire ruḳh par to hai ye aks merī aañkh ke til kā
mazā aa.e agar bāham-digar haal āshkāra ho
mire dil par tire dil kā tire dil par mire dil kā
jakaḌ rakkhā hai ai haddād yād-e-zulf-e-jānāñ ne
na rakh ehsān mujh par aur tū tauq-o-salāsil kā
na ab jiite hī bantī hai na ab marte hī bantī hai
musībat aa ga.ī mere liye aanā mire dil kā
tasavvur meñ tumhāre ho ga.ī āḳhir shab-e-furqat
ḳhudā kā shukr āsānī se guzrā vaqt mushkil kā
qayāmat meñ jo honā hai vo hogā fikr kyā us kī
abhī to mujh ko ronā hai lahad kī pahlī manzil kā
mujhe shauq-e-shahādat is qadar hai us kī ulfat meñ
ki har ik se pata maiñ pūchhtā phirtā huuñ qātil kā
hasīnān-e-jahāñ kyā hī miTe haiñ merī shoḳhī par
khilaunā dil ke bahlāne ko lete haiñ mire dil kā
samajhta hai wo KHud ko aap ke ruKH ke muqabil ka
zara insaf se kahiye ye munh hai mah-e-kaamil ka
pata deta hai ye ruk ruk ke chalna tegh-e-qatil ka
ki ab madd-e-nazar rah rah ke taDpana hai bismil ka
muafiq hai ye in rozon hawa gulzar-e-alam ki
dil-e-pur-dagh guldasta hai gul-ruyon ki mahfil ka
abas ai barq tujh ko naz hai apne taDapne par
abhi dekha nahin tu ne taDapna muztarib dil ka
wo kya jaanen ghalat kahte hain KHal us ko jo kahte hain
tere ruKH par to hai ye aks meri aankh ke til ka
maza aae agar baham-digar haal aashkara ho
mere dil par tere dil ka tere dil par mere dil ka
jakaD rakkha hai ai haddad yaad-e-zulf-e-jaanan ne
na rakh ehsan mujh par aur tu tauq-o-salasil ka
na ab jite hi banti hai na ab marte hi banti hai
musibat aa gai mere liye aana mere dil ka
tasawwur mein tumhaare ho gai aaKHir shab-e-furqat
KHuda ka shukr aasani se guzra waqt mushkil ka
qayamat mein jo hona hai wo hoga fikr kya us ki
abhi to mujh ko rona hai lahad ki pahli manzil ka
mujhe shauq-e-shahadat is qadar hai us ki ulfat mein
ki har ek se pata main puchhta phirta hun qatil ka
hasinan-e-jahan kya hi miTe hain meri shoKHi par
khilauna dil ke bahlane ko lete hain mere dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.