samajhte hain jo kamtar har kisi ko
samajhte haiñ jo kamtar har kisī ko
vo samjheñ to sahī apnī kamī ko
jahāñ meñ juz ġham-o-ranj-o-musībat
milā bhī hai azīzo kuchh kisī ko
kaheñ bhī to kaheñ ab kyā kisī se
sunā.eñ to sunā.eñ kyā kisī ko
haqīqat meñ nahīñ bante kisī ke
banāte haiñ jo apnā har kisī ko
na pā-e-raftan ab ne jā-e-ma.adin
kahāñ tak ro.eñ apnī bebasī ko
ta.ajjub hai samajhne par bhī sab kuchh
na samjhā aadmī ne aadmī ko
ziyā-e-hazrat-e-'anvar' ne 'rif.at'
jilā baḳhshī hai merī shā.irī ko
samajhte hain jo kamtar har kisi ko
wo samjhen to sahi apni kami ko
jahan mein juz gham-o-ranj-o-musibat
mila bhi hai azizo kuchh kisi ko
kahen bhi to kahen ab kya kisi se
sunaen to sunaen kya kisi ko
haqiqat mein nahin bante kisi ke
banate hain jo apna har kisi ko
na pa-e-raftan ab ne ja-e-madin
kahan tak roen apni bebasi ko
tajjub hai samajhne par bhi sab kuchh
na samjha aadmi ne aadmi ko
ziya-e-hazrat-e-'anwar' ne 'rifat'
jila baKHshi hai meri shairi ko
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 149)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.