samajhte the jaisi ye waisi nahin hai
samajhte the jaisī ye vaisī nahīñ hai
magar duniyā itnī burī bhī nahīñ hai
tumhārā bhī haq hai ai mere 'azīzo
mirī zindagī sirf merī nahīñ hai
merī har kahānī kā kirdār tū hai
tere baa'd apnī kahānī nahīñ hai
jahāñ 'ishq sīkhā hai tum ne shikārī
vahāñ aaj ik bhī gilahrī nahīñ hai
nashīlī mirī āñkheñ lagtī haiñ lekin
ye sach hai ki maiñ ne kabhī pī nahīñ hai
samajhte the jaisi ye waisi nahin hai
magar duniya itni buri bhi nahin hai
tumhaara bhi haq hai ai mere 'azizo
meri zindagi sirf meri nahin hai
meri har kahani ka kirdar tu hai
tere ba'd apni kahani nahin hai
jahan 'ishq sikha hai tum ne shikari
wahan aaj ek bhi gilahri nahin hai
nashili meri aankhen lagti hain lekin
ye sach hai ki main ne kabhi pi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.