samajhte the wo, samjhaya gaya hai
samajhte the vo, samjhāyā gayā hai
hameñ ham se hī milvāyā gayā hai
hamāre naam kā be-nām hissa
kisī ke naam likhvāyā gayā hai
kabhī ehsān koī kar gayā thā
barābar yaad dilvāyā gayā hai
ye āñkheñ niiñd meñ bhī jāgtī haiñ
ye kis kā zikr dohrāyā gayā hai
ham apnī guftugū bhī taulte haiñ
hameñ bevpār sikhlāyā gayā hai
samajhte the wo, samjhaya gaya hai
hamein hum se hi milwaya gaya hai
hamare nam ka be-nam hissa
kisi ke nam likhwaya gaya hai
kabhi ehsan koi kar gaya tha
barabar yaad dilwaya gaya hai
ye aankhen nind mein bhi jagti hain
ye kis ka zikr dohraya gaya hai
hum apni guftugu bhi taulte hain
hamein bewpar sikhlaya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.