samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha
samand-e-garm jo yaañ us savār kā pahuñchā
ġhubār tā-falak is ḳhāksār kā pahuñchā
tū sach batā ki tujhe itnī kyuuñ hai bechainī
magar payām kisī be-qarār kā pahuñchā
male hai paañv se apne vo lāla-rū har-dam
ye martaba to dil-e-dāġh-dār kā pahuñchā
hai yaañ talak to nazākat guloñ ke gajre se
lachakne lagtā hai us gul-azār kā pahuñchā
qafas se chhuTne kī ummīd hī nahīñ 'afsos'
husūl kyā hai jo muzhda bahār kā pahuñchā
samand-e-garm jo yan us sawar ka pahuncha
ghubar ta-falak is KHaksar ka pahuncha
tu sach bata ki tujhe itni kyun hai bechaini
magar payam kisi be-qarar ka pahuncha
male hai panw se apne wo lala-ru har-dam
ye martaba to dil-e-dagh-dar ka pahuncha
hai yan talak to nazakat gulon ke gajre se
lachakne lagta hai us gul-azar ka pahuncha
qafas se chhuTne ki ummid hi nahin 'afsos'
husul kya hai jo muzhda bahaar ka pahuncha
- Book : Noquush (Pg. B-385 E396)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.