samandar ka samandar pi chuka hun
samandar kā samandar pī chukā huuñ
magar maiñ phir bhī pyāsā hī rahā huuñ
baḌe rangīn sapne dekhtā huuñ
maiñ apne daur kā yūsuf banā huuñ
khileñge phuul to vo bhī chunūñgā
abhī gulshan se kāñTe chun rahā huuñ
vo merī raah kā patthar banā thā
maiñ us kī raah kā jaltā diyā huuñ
vo bādal hai barastā hī nahīñ hai
maiñ sahrā huuñ jhulastā jā rahā huuñ
parā.e dard ko samjhā to 'mid.hat'
ab apne dard se sharmā rahā huuñ
samandar ka samandar pi chuka hun
magar main phir bhi pyasa hi raha hun
baDe rangin sapne dekhta hun
main apne daur ka yusuf bana hun
khilenge phul to wo bhi chununga
abhi gulshan se kanTe chun raha hun
wo meri rah ka patthar bana tha
main us ki rah ka jalta diya hun
wo baadal hai barasta hi nahin hai
main sahra hun jhulasta ja raha hun
parae dard ko samjha to 'midhat'
ab apne dard se sharma raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.