sambhal ke rahiyega ghusse mein chal rahi hai hawa
sambhal ke rahiyegā ġhusse meñ chal rahī hai havā
mizāj garm hai mausam badal rahī hai havā
vo jaam barf se labrez hai magar us se
lipaT lipaT ke musalsal pighal rahī hai havā
idhar to dhuup hai bandish meñ aur chhatoñ pe udhar
libās barf kā pahne Tahal rahī hai havā
bujhā rahī hai charāġhoñ ko vaqt se pahle
na jaane kis ke ishāroñ pe chal rahī hai havā
jo dil pe haath rakhoge to jaan jāoge
machal rahī hai barābar machal rahī hai havā
maiñ kah rahā huuñ havā hai to jal rahe haiñ charāġh
vo kah rahe haiñ charāġhoñ se jal rahī hai havā
sambhal ke rahiyega ghusse mein chal rahi hai hawa
mizaj garm hai mausam badal rahi hai hawa
wo jam barf se labrez hai magar us se
lipaT lipaT ke musalsal pighal rahi hai hawa
idhar to dhup hai bandish mein aur chhaton pe udhar
libas barf ka pahne Tahal rahi hai hawa
bujha rahi hai charaghon ko waqt se pahle
na jaane kis ke ishaaron pe chal rahi hai hawa
jo dil pe hath rakhoge to jaan jaoge
machal rahi hai barabar machal rahi hai hawa
main kah raha hun hawa hai to jal rahe hain charagh
wo kah rahe hain charaghon se jal rahi hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.