sameT kar teri yaadon ke phul daman mein
sameT kar tirī yādoñ ke phuul dāman meñ
basā rahā huuñ bahāroñ ko dil ke gulshan meñ
abhī ziyā-e-tasavvur se aañkh raushan hai
abhī bahār-e-charāġhāñ hai dil ke āñgan meñ
tire baġhair hai be-rañg raunaq-e-gulshan
ye aur baat ki khulte haiñ phuul gulshan meñ
ghaTāoñ se to barastī hoñ bijliyāñ jaise
kahāñ se ā.eñgī ThanDī havā.eñ sāvan meñ
chhupā diyā mirī nazroñ se ḳhud mujhe us ne
utar ga.ī hai jo tasvīr dil ke darpan meñ
kahīñ nazar meñ nahīñ duur duur tak sāhil
bhañvar kī naav ke mānind jaan hai tan meñ
qarīb-e-dil bhī haiñ vo duur bhī haiñ nazroñ se
kuchh apne-pan kī jhalak bhī hai ajnabī-pan meñ
rukī rukī sī hai raftār-e-zindagī jaise
hazār ḳhuun ragoñ meñ hai jaan hai tan meñ
baras paḌe mirī āñkhoñ se yak-ba-yak aañsū
kisī kī yaad jab aa.ī baraste sāvan meñ
pata nahīñ hai 'rishī' duur duur manzil kā
kidhar ko jaa.eñ hameñ raat ho ga.ī ban meñ
sameT kar teri yaadon ke phul daman mein
basa raha hun bahaaron ko dil ke gulshan mein
abhi ziya-e-tasawwur se aankh raushan hai
abhi bahaar-e-charaghan hai dil ke aangan mein
tere baghair hai be-rang raunaq-e-gulshan
ye aur baat ki khulte hain phul gulshan mein
ghaTaon se to barasti hon bijliyan jaise
kahan se aaengi ThanDi hawaen sawan mein
chhupa diya meri nazron se KHud mujhe us ne
utar gai hai jo taswir dil ke darpan mein
kahin nazar mein nahin dur dur tak sahil
bhanwar ki naw ke manind jaan hai tan mein
qarib-e-dil bhi hain wo dur bhi hain nazron se
kuchh apne-pan ki jhalak bhi hai ajnabi-pan mein
ruki ruki si hai raftar-e-zindagi jaise
hazar KHun ragon mein hai jaan hai tan mein
baras paDe meri aankhon se yak-ba-yak aansu
kisi ki yaad jab aai baraste sawan mein
pata nahin hai 'rishi' dur dur manzil ka
kidhar ko jaen hamein raat ho gai ban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.