sameT lo ye pyar ki nishaniyan sameT lo
sameT lo ye pyaar kī nishāniyāñ sameT lo
ye qissa-e-alam ruke kahāniyāñ sameT lo
havas ke haul-nāk bistaraoñ pe dam na toḌ deñ
ab apnī rābtoñ kī zindagāniyāñ sameT lo
kabhī to do ghaḌī ruko kī rāste udaas haiñ
kabhī to manziloñ kī ye ravāniyāñ sameT lo
qalam kī nok par jo zaḳhm haiñ unheñ havā na do
tum apne shauq kī ye nā-tavāniyāñ sameT lo
ye sard sard guftugū 'tapish' hai kis ke rū-ba-rū
sajāo bazm saarī bad-gumāniyāñ sameT lo
sameT lo ye pyar ki nishaniyan sameT lo
ye qissa-e-alam ruke kahaniyan sameT lo
hawas ke haul-nak bistaraon pe dam na toD den
ab apni rabton ki zindaganiyan sameT lo
kabhi to do ghaDi ruko ki raste udas hain
kabhi to manzilon ki ye rawaniyan sameT lo
qalam ki nok par jo zaKHm hain unhen hawa na do
tum apne shauq ki ye na-tawaniyan sameT lo
ye sard sard guftugu 'tapish' hai kis ke ru-ba-ru
sajao bazm sari bad-gumaniyan sameT lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.