samjha koi bhi chaal na us chaal-baz ki
samjhā koī bhī chaal na us chāl-bāz kī
karte rahe bayāñ sabhī hoñToñ kī nāzukī
dar par ḳhudā ke khīñch ke laayā thā us ko ishq
kāfir ko paḌ ga.ī thī zarūrat namāz kī
ham ne bhī ḳhud ke qatl meñ chhoḌī nahīñ kasar
us ne bhī dushmanoñ se bahut sāz-bāz kī
kānoñ kī kachchī niklī vo dīvār gaañv kī
tash.hīr kar rahī hai faqīroñ ke raaz kī
ḳhat huuñ maiñ āḳhirī kisī 'ānis-mūīn' kā
tū yaad rahne vaalī ġhazal hai 'farāz' kī
samjha koi bhi chaal na us chaal-baz ki
karte rahe bayan sabhi honTon ki nazuki
dar par KHuda ke khinch ke laya tha us ko ishq
kafir ko paD gai thi zarurat namaz ki
hum ne bhi KHud ke qatl mein chhoDi nahin kasar
us ne bhi dushmanon se bahut saz-baz ki
kanon ki kachchi nikli wo diwar ganw ki
tashhir kar rahi hai faqiron ke raaz ki
KHat hun main aaKHiri kisi 'anis-muin' ka
tu yaad rahne wali ghazal hai 'faraaz' ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.