samjhae koi ye baat zara kyon gham ko masarrat kahte hain
samjhā.e koī ye baat zarā kyoñ ġham ko masarrat kahte haiñ
barbād kiyā hai jis ne hameñ sab us ko mohabbat kahte haiñ
barsoñ bhī nahīñ khultī hai zabāñ duniyā se shikāyat kyā karte
jab dard sivā ho jaatā hai rūdād-e-aziyyat kahte haiñ
insāf to kar le kuchh dil meñ kyā yahī vafā kā badla hai
har roz sitam har vaqt jafā kyā is ko rifāqat kahte haiñ
ādāb-e-mohabbat ke sadqe īmān-e-vafā ke saa.e meñ
kuchh 'ishq ne aisā dars diyā taklīf ko rāhat kahte haiñ
ye 'ishq-o-junūñ kā saudā hai rakhnā hai ise ab dil meñ nihāñ
har ġham ko masarrat samjho 'ḳhizr' har dard ko rāhat kahte haiñ
samjhae koi ye baat zara kyon gham ko masarrat kahte hain
barbaad kiya hai jis ne hamein sab us ko mohabbat kahte hain
barson bhi nahin khulti hai zaban duniya se shikayat kya karte
jab dard siwa ho jata hai rudad-e-aziyyat kahte hain
insaf to kar le kuchh dil mein kya yahi wafa ka badla hai
har roz sitam har waqt jafa kya is ko rifaqat kahte hain
aadab-e-mohabbat ke sadqe iman-e-wafa ke sae mein
kuchh 'ishq ne aisa dars diya taklif ko rahat kahte hain
ye 'ishq-o-junun ka sauda hai rakhna hai ise ab dil mein nihan
har gham ko masarrat samjho 'KHizr' har dard ko rahat kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.