samjhe hue logon ko bhi har bar samajhna
samjhe hue logoñ ko bhī har baar samajhnā
mushkil hai bahut shahr kā me'yār samajhnā
dam-bhar kī rifāqat bhī ġhanīmat hai safar meñ
dīvār ko bhī sāya-e-dīvār samajhnā
vo shaḳhs jo detā hai gunāhoñ kī gavāhī
us ko bhī barābar kā gunahgār samajhnā
tāqat nahīñ laḌtī hai laḌā kartī hai himmat
TuuTe hue baazū ko bhī patvār samajhnā
chalne kī tamanna thī pahuñchne kī nahīñ thī
ab Duub bhī jā.ūñ to mujhe paar samajhnā
ye shahr hī jab aap ko pyārā hai to 'shāhid'
nafrat bhī agar de to use pyaar samajhnā
samjhe hue logon ko bhi har bar samajhna
mushkil hai bahut shahr ka me'yar samajhna
dam-bhar ki rifaqat bhi ghanimat hai safar mein
diwar ko bhi saya-e-diwar samajhna
wo shaKHs jo deta hai gunahon ki gawahi
us ko bhi barabar ka gunahgar samajhna
taqat nahin laDti hai laDa karti hai himmat
TuTe hue bazu ko bhi patwar samajhna
chalne ki tamanna thi pahunchne ki nahin thi
ab Dub bhi jaun to mujhe par samajhna
ye shahr hi jab aap ko pyara hai to 'shahid'
nafrat bhi agar de to use pyar samajhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.