samundar ko sahaara kar liya hai
samundar ko sahārā kar liyā hai
kināroñ se kinārā kar liyā hai
garebāñ chaak thā pahle hī apnā
jigar bhī pāra-pāra kar liyā hai
tirī dīvār ke saa.e ko ham ne
safar kā isti.āra kar liyā hai
shab-e-hijrāñ tirī vābastagī ko
muqaddar kā sitāra kar liyā hai
bahut mushkil thā tere baad jiinā
magar phir bhī guzārā kar liyā hai
mire hisse meñ rā.egāniyāñ haiñ
ka.ī baar istiḳhāra kar liyā hai
samundar ko sahaara kar liya hai
kinaron se kinara kar liya hai
gareban chaak tha pahle hi apna
jigar bhi para-para kar liya hai
teri diwar ke sae ko hum ne
safar ka istiara kar liya hai
shab-e-hijran teri wabastagi ko
muqaddar ka sitara kar liya hai
bahut mushkil tha tere baad jina
magar phir bhi guzara kar liya hai
mere hisse mein raeganiyan hain
kai bar istiKHara kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.