samundar se gham-o-ghussa ke tughyani nahin jati
samundar se ġham-o-ġhussa ke tuġhyānī nahīñ jaatī
shikāyat chiiz aisī hai ba-āsānī nahīñ jaatī
nigāhoñ ne na jaane us kī dekhe kaun se manzar
bahut chāhā pe āñkhoñ se ye vīrānī nahīñ jaatī
taḳhayyul dastakeñ de kar palaT jaatā hai aksar hī
anā kī jazba-e-dil par nigahbānī nahīñ jaatī
bahut mumkin hai ḳhat kā bhī tire mazmūñ badal jaa.e
abhī to bas likhāvaT hai jo pahchānī nahīñ jaatī
dil-e-be-sabr aksar ārzūoñ par machaltā hai
magar us kī kabhī ik baat bhī maanī nahīñ jaatī
koī sach ko jo kah de sach to bhārī hai tabī'at par
ki hai sunñe kī 'ādat zill-e-sub.hānī nahīñ jaatī
nahīñ de paa.e ham pur-amn mulk-o-qaum bachchoñ ko
yaqīñ maano na maano ye pashemānī nahīñ jaatī
samundar se gham-o-ghussa ke tughyani nahin jati
shikayat chiz aisi hai ba-asani nahin jati
nigahon ne na jaane us ki dekhe kaun se manzar
bahut chaha pe aankhon se ye virani nahin jati
taKHayyul dastaken de kar palaT jata hai aksar hi
ana ki jazba-e-dil par nigahbani nahin jati
bahut mumkin hai KHat ka bhi tere mazmun badal jae
abhi to bas likhawaT hai jo pahchani nahin jati
dil-e-be-sabr aksar aarzuon par machalta hai
magar us ki kabhi ek baat bhi mani nahin jati
koi sach ko jo kah de sach to bhaari hai tabi'at par
ki hai sunne ki 'adat zill-e-subhani nahin jati
nahin de pae hum pur-amn mulk-o-qaum bachchon ko
yaqin mano na mano ye pashemani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.