samundar tha kabhi sahra hua hai
samundar thā kabhī sahrā huā hai
vo kyā thā aur dekho kyā huā hai
nahīñ mālūm us ko hashr apnā
parinda jaal par baiThā huā hai
gunāh-e-ishq meñ kaisī rihā.ī
tumhāre saath to dhoka huā hai
kisī ne haal pūchhā tab ye jaanā
hameñ to naam tak bhūlā huā hai
nishānī āḳhirī ye hai kisī kī
jo aañsū aañkh meñ Thahrā huā hai
munāsib thā tumhārā ruuTh jaanā
magar ye kyā ki sab rūThā huā hai
chamak mahfil meñ jis chehre kī hai vo
musalsal raat bhar royā huā hai
samundar tha kabhi sahra hua hai
wo kya tha aur dekho kya hua hai
nahin malum us ko hashr apna
parinda jal par baiTha hua hai
gunah-e-ishq mein kaisi rihai
tumhaare sath to dhoka hua hai
kisi ne haal puchha tab ye jaana
hamein to nam tak bhula hua hai
nishani aaKHiri ye hai kisi ki
jo aansu aankh mein Thahra hua hai
munasib tha tumhaara ruTh jaana
magar ye kya ki sab ruTha hua hai
chamak mahfil mein jis chehre ki hai wo
musalsal raat bhar roya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.