samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe
samundaroñ ke safar meñ nadī kī pyaas bujhe
hamāre ḳhuun se shāyad kisī kī pyaas bujhe
na jaane kitne ujāloñ ko pī chukī lekin
na jaane kab mirī tīra-shabī kī pyaas bujhe
mirā sukūt bhī āvāz kā samundar hai
jo ik nazar mujhe chhū le usī kī pyaas bujhe
matā'-e-soz-e-nihāñ aur baḳhsh de mujh ko
kisī tarah tirī dariyā-dilī kī pyaas bujhe
savād-e-manzil-e-jānāñ ki kūcha-e-qātil
kahīñ to jā ke ġham-e-zindagī kī pyaas bujhe
nasīb-e-ahl-e-nazar hai safar sarāboñ kā
na bujh sakī na kabhī jiite jī kī pyaas bujhe
vo tere gaañv kā panghaT thā merā shahr nahīñ
ki lū chale to kisī ajnabī kī pyaas bujhe
pighal bhī jaa.e jo ye barf us ke chehre kī
yaqīñ nahīñ mirī be-chehragī kī pyaas bujhe
baraste tīroñ kī bārish meñ ham haiñ sīna-kushā
yahī vo rut hai ki dil kī lagī kī pyaas bujhe
mile na jaane kahāñ 'badr' chashma-e-zulmāt
ḳhabar nahīñ ki kahāñ shab-ravī kī pyaas bujhe
samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe
hamare KHun se shayad kisi ki pyas bujhe
na jaane kitne ujalon ko pi chuki lekin
na jaane kab meri tira-shabi ki pyas bujhe
mera sukut bhi aawaz ka samundar hai
jo ek nazar mujhe chhu le usi ki pyas bujhe
mata'-e-soz-e-nihan aur baKHsh de mujh ko
kisi tarah teri dariya-dili ki pyas bujhe
sawad-e-manzil-e-jaanan ki kucha-e-qatil
kahin to ja ke gham-e-zindagi ki pyas bujhe
nasib-e-ahl-e-nazar hai safar sarabon ka
na bujh saki na kabhi jite ji ki pyas bujhe
wo tere ganw ka panghaT tha mera shahr nahin
ki lu chale to kisi ajnabi ki pyas bujhe
pighal bhi jae jo ye barf us ke chehre ki
yaqin nahin meri be-chehragi ki pyas bujhe
baraste tiron ki barish mein hum hain sina-kusha
yahi wo rut hai ki dil ki lagi ki pyas bujhe
mile na jaane kahan 'badr' chashma-e-zulmat
KHabar nahin ki kahan shab-rawi ki pyas bujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.