samundaron ke sukun ko bhanwar ne chhin liya
samundaroñ ke sukūñ ko bhañvar ne chhīn liyā
kisī ke chain ko us ke hī ghar ne chhīn liyā
sañbhalne vaalī nahīñ hai ye tez-rau duniyā
purāne rog ko taaza ḳhabar ne chhīn liyā
mujhe to bas yahī dukh hai ki mere gulshan kī
tarang-o-rang ko sūkhe shajar ne chhīn liyā
purāne khel na.e kheloñ se judā the miyāñ
vo phurtiyāñ thiiñ jinheñ daur-e-zar ne chhīn liyā
kisī kā sar koī dastār kar ga.ī aġhvā
kisī ke taaj ko duuje ke sar ne chhīn liyā
burā.iyāñ na likheñ to farishte kyā kareñ 'aun'
ḳhilāfatoñ ko jo ilm-e-bashar ne chhīn liyā
samundaron ke sukun ko bhanwar ne chhin liya
kisi ke chain ko us ke hi ghar ne chhin liya
sanbhalne wali nahin hai ye tez-rau duniya
purane rog ko taza KHabar ne chhin liya
mujhe to bas yahi dukh hai ki mere gulshan ki
tarang-o-rang ko sukhe shajar ne chhin liya
purane khel nae khelon se juda the miyan
wo phurtiyan thin jinhen daur-e-zar ne chhin liya
kisi ka sar koi dastar kar gai aghwa
kisi ke taj ko duje ke sar ne chhin liya
buraiyan na likhen to farishte kya karen 'aun'
KHilafaton ko jo ilm-e-bashar ne chhin liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.