samundaron ki tarah be-kanar hone ki
samundaroñ kī tarah be-kanār hone kī
kahīñ to rasm chale be-shumār hone kī
har ek shaḳhs kī ḳhvāhish qadam rakhe mujh par
sazā milī hai tirī rahguzār hone kī
maiñ dāstān-e-alamnāk kah nahīñ saktā
ye ruuh dāḳhil-e-musht-e-ġhubār hone kī
kisī bhī rut meñ yahāñ phuul ab nahīñ khilte
yahī sabab hai garebāñ ke taar hone kī
maiñ vo ghaḌī bhī tumhāre nisār kar aaya
jo ik ghaḌī thī hamāre shumār hone kī
zamīñ pe halqa-e-lail-o-nahār hai qaa.em
nishānī hai ye tire intizār hone kī
ye kār-zār-e-jahāñ meñ jo zindagī hai 'ḳhizar'
ye dāstāñ hai ḳhudā se farār hone kī
samundaron ki tarah be-kanar hone ki
kahin to rasm chale be-shumar hone ki
har ek shaKHs ki KHwahish qadam rakhe mujh par
saza mili hai teri rahguzar hone ki
main dastan-e-alamnak kah nahin sakta
ye ruh daKHil-e-musht-e-ghubar hone ki
kisi bhi rut mein yahan phul ab nahin khilte
yahi sabab hai gareban ke tar hone ki
main wo ghaDi bhi tumhaare nisar kar aaya
jo ek ghaDi thi hamare shumar hone ki
zamin pe halqa-e-lail-o-nahaar hai qaem
nishani hai ye tere intizar hone ki
ye kar-zar-e-jahan mein jo zindagi hai 'KHizar'
ye dastan hai KHuda se farar hone ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.