samundaron ki tarah gahre log paoge
samundaron ki tarah gahre log paoge
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
samundaroñ kī tarah gahre log pāoge
sañbhal ke chalnā yahāñ varna Duub jāoge
har ek chiiz ke pīchhe bhaTaknā Thiik nahīñ
kisī sarāb se tum pyaas kyā bujhāoge
tum apne dil ko sa.mbhālo zarā ai ham-nafaso
junūn-e-shauq meñ kab tak fareb khāoge
zamāna bhaag rahā hai to pīchhe mat bhāgo
zarā sī Thes lagī to sañbhal na pāoge
sab apne haath meñ patthar liye khaḌe haiñ 'majīd'
haqīqatoñ kā kise aa.ina dikhāoge
samundaron ki tarah gahre log paoge
sanbhal ke chalna yahan warna Dub jaoge
har ek chiz ke pichhe bhaTakna Thik nahin
kisi sarab se tum pyas kya bujhaoge
tum apne dil ko sambhaalo zara ai ham-nafaso
junun-e-shauq mein kab tak fareb khaoge
zamana bhag raha hai to pichhe mat bhago
zara si Thes lagi to sanbhal na paoge
sab apne hath mein patthar liye khaDe hain 'majid'
haqiqaton ka kise aaina dikhaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.