samundaron ko muhit thi chandni kanwal ki
samundaroñ ko muhīt thī chāñdnī kañval kī
havāoñ kī batriyoñ se kirnoñ kī aañkh chhalkī
kashīd kartā huuñ jugnuoñ kī harārtoñ se
hare farishtoñ kī chob-dārī meñ zau azal kī
lahū charāġhoñ kā munjamid thā girāniyoñ se
paḌāv Daale thī gul ke roġhan meñ dhuup halkī
ye kachche pattoñ pe lahariyā narmiyoñ kī būñdeñ
nihāl karne lagī jigar ko miThās jal kī
lavoñ ke saa.e meñ qissa-ḳhvāñ kī hikāyateñ haiñ
idhar khile gul udhar charāġhoñ kī aañkh Dhalkī
kise thī qudrat ki Dol Daale nazāfatoñ kā
ḳhudā kī chaupahliyoñ pe Dāchī uḌī ġhazal kī
samundaron ko muhit thi chandni kanwal ki
hawaon ki batriyon se kirnon ki aankh chhalki
kashid karta hun jugnuon ki hararton se
hare farishton ki chob-dari mein zau azal ki
lahu charaghon ka munjamid tha giraniyon se
paDaw Dale thi gul ke roghan mein dhup halki
ye kachche patton pe lahariya narmiyon ki bunden
nihaal karne lagi jigar ko miThas jal ki
lawon ke sae mein qissa-KHwan ki hikayaten hain
idhar khile gul udhar charaghon ki aankh Dhalki
kise thi qudrat ki Dol Dale nazafaton ka
KHuda ki chaupahliyon pe Dachi uDi ghazal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.