san’at-e-kirdgar hain hum log
san’at-e-kirdgār haiñ ham log
'azmat-e-shāhkār haiñ ham log
shaukat-e-yādgār haiñ ham log
bā'is-e-iftiḳhār haiñ ham log
sulh-jū sulh-kār haiñ ham log
gulsitāñ kī bahār haiñ ham log
jab se sīna-figār haiñ ham log
paikar-e-iztirār haiñ ham log
dil pe qaabū na tum pe qaabū hai
kitne be-iḳhtiyār haiñ ham log
tere bhī ho ke terī duniyā meñ
bā’is-e-nang-o-‘ār haiñ ham log
'ishq kā kārobār karte haiñ
barsar-e-rozgār haiñ ham log
haiñ chaman meñ guloñ ke hamsā.e
aur nigāhoñ meñ ḳhaar haiñ ham log
haiñ lagā.e hue gale ab bhī
dostī kā vaqār haiñ ham log
kitne vaznī haiñ pā-e-istidrāk
dosh-e-gītī pe baar haiñ ham log
jānte haiñ vajūh-e-buġhz-o-‘inād
kyoñ mohabbat-shi’ār haiñ ham log
ġham bachā kar diloñ meñ rakhte haiñ
kyā kifāyat-shi’ār haiñ ham log
bahr-e-ulfat kī tah meñ pāoge
gauhar-e-āb-dār haiñ ham log
'zākir' urdu zabāñ hamārī hai
is ke āmozgār haiñ ham log
san’at-e-kirdgar hain hum log
'azmat-e-shahkar hain hum log
shaukat-e-yaadgar hain hum log
ba'is-e-iftiKHar hain hum log
sulh-ju sulh-kar hain hum log
gulsitan ki bahaar hain hum log
jab se sina-figar hain hum log
paikar-e-iztirar hain hum log
dil pe qabu na tum pe qabu hai
kitne be-iKHtiyar hain hum log
tere bhi ho ke teri duniya mein
ba’is-e-nang-o-‘ar hain hum log
'ishq ka karobar karte hain
barsar-e-rozgar hain hum log
hain chaman mein gulon ke hamsae
aur nigahon mein KHar hain hum log
hain lagae hue gale ab bhi
dosti ka waqar hain hum log
kitne wazni hain pa-e-istidrak
dosh-e-giti pe bar hain hum log
jaante hain wajuh-e-bughz-o-‘inad
kyon mohabbat-shi’ar hain hum log
gham bacha kar dilon mein rakhte hain
kya kifayat-shi’ar hain hum log
bahr-e-ulfat ki tah mein paoge
gauhar-e-ab-dar hain hum log
'zakir' urdu zaban hamari hai
is ke aamozgar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.